اردو हिंदी
Jab KHasare hi ka sarmaya hun main | Shaahi Shayari
jab KHasare hi ka sarmaya hun main

Ghazal

Jab KHasare hi ka sarmaya hun main

Ishaq Veerdag

;

jab KHasare hi ka sarmaya hun main
phir zamin par kis liye aaya hun main

TuTe kirdaron ka malba joD kar
ek naya qissa bana laya hun mein

KHwab tak to Thik tha lekin miyan
jagne ke baad ghabraya hun main

jis ki buniyaadon mein shab ka husn hai
aisi kali dhup ka saya hun main

apni hi marzi se wapas jaane de
dekh tere hukm par aaya hun main

a peshawar aaKHiri koshish hai ye
KHwab se ek faKHta laya hun main