اردو हिंदी
Jab kabhi teri yaad aai hai | Shaahi Shayari
jab kabhi teri yaad aai hai

Ghazal

Jab kabhi teri yaad aai hai

Om Parkash Bajaj

;

jab kabhi teri yaad aai hai
har kali dil ki muskurai hai

dil ne bas teri aarzu ke tufail
har KHushi zindagi ki pai hai

su-e-tufan dhakel di hum ne
naw sahil pe jab bhi aai hai

sirf tum ho mere zamane mein
warna har shai yahan parai hai

kho ke KHud ko teri mohabbat mein
be-KHudi be-panah pai hai

-jada-e-manzil-e-mohabbat mein
dil ne sau bar choT khai hai

phul kaliyon ka zikr kar ke 'bajaj'
dastan teri hi sunai hai