jab kabhi dair-o-haram Takrae mai-KHanon ke sath
sarf-e-gardish kar diya saqi ne paimanon ke sath
husn bhi kambaKHt kab KHali hai soz-e-ishq se
shama bhi to raat-bhar jalti hai parwanon ke sath
rose mai-KHwaron ki qismat ke sitare sham se
jagmaga uThte hain jag uThte hain mai-KHanon ke sath
gardish-e-gardun KHalal-andaz mai-KHana ho kya
waqt rahta hai yahan gardish mein paimanon ke sath
aql apnon se bhi aksar bach ke chalti hai zara
ishq hi kambaKHt ho jata hai beganon ke sath
kis qadar KHush-fahm the jo log agle waqt mein
masjiden banwa diya karte the but-KHanon ke sath
ta-na-bashad chiz ke mardum na-goyad chiz-ha
kuchh haqiqat bhi hua karti hai afsanon ke sath
munfail karta hai bismil wo junun ko aql se
koi farzana jo ho jata hai diwanon ke sath
Ghazal
Jab kabhi dair-o-haram Takrae mai-KHanon ke sath
Bismil Saeedi