jab ek sarab mein pyason ko pyas utarti hai
mere yaqin ko qarin-e-qayas utarti hai
hamare shahr ki ye wahshiyana aab-o-hawa
har ek ruh mein jangal ki bas utarti hai
ye zindagi to lubhane lagi hamein aise
ki jaise koi hasina libas utarti hai
tumhaare aane ki afwah bhi sar aankhon par
ye baam-o-dar se udasi ki ghas utarti hai
main siKH-pa hun bahut zindagi ki gaDi par
ye roz sham mujhe ghar ke pas utarti hai
hamara jism sukun chahta hai aur ye raat
thakan utarne aati hai mas utarti hai
Ghazal
Jab ek sarab mein pyason ko pyas utarti hai
Afzal Khan