jab ek charagh-e-rahguzar ki kiran paDe
honTon ki lau latif hijabon se chhan paDe
shaKH-e-abad se jhaDte zamanon ka rup hai
ye log jin ke ruKH pe guman-e-chaman paDe
ye kis hasin dayar ki ThanDi hawa chali
har mauja-e-KHayal pe sad-ha shikan paDe
ye kaun hai labon mein rasili ruten ghulin
palkon ki oT nind mein gul-gun gagan paDe
ek pal bhi ku-e-dil mein na Thahrao rah-naward
ab jis ke naqsh-e-pa mein chaman-dar-chaman paDe
ek jast is taraf bhi ghazal-e-zamana-raqs
rah teri dekhte hain KHata o KHutan paDe
jab anjuman tawajjoh-e-sad-guftugu mein ho
meri taraf bhi ek nigah-e-kam-suKHan paDe
sahra-e-zindagi mein jidhar bhi qadam uThe
raste mein ek aarzuon ka chaman paDe
is jalti dhup mein ye ghane saya-dar peD
main apni zindagi unhen de dun jo ban paDe
ai shatir-e-azal tere hathon ko chum lun
qarye mein mere nam jo diwana-pan paDe
ai subh-e-der-KHez unhen aawaz de jo hai
ek sham-e-zud-KHwab ke sukh mein magan paDe
'amjad' tariq-mai mein hai ye ehtiyat shart
ek dagh bhi kahin na sar-e-pairahan paDe
Ghazal
Jab ek charagh-e-rahguzar ki kiran paDe
Majeed Amjad