jab ho chuki sharab to main mast mar gaya
shishe ke KHali hote hi paimana bhar gaya
ne qasid-e-KHayal na paik-e-nazar gaya
un tak main apni aap hi le kar KHabar gaya
ruh-e-ruwan-o-jism ki surat main kya kahun
jhonka hawa ka tha idhar aaya udhar gaya
tufan-e-nuh is mein ho ya shor-e-hashr ho
hota jo kuchh hai hoga jo guzra guzar gaya
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs
ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya
shoridgi se meri yahan tak wo tang the
ruTha jo main to KHair manai ki shar gaya
main ne bhi aankhen dekhi hain pariyon ki jao bhi
tum ne dikhai aankh mujhe aur main Dar gaya
guzra jahan se main to kaha sun ke yar ne
qissa gaya fasad gaya dard-e-sar gaya
kaghaz siyah karte ho kis ke liye 'nasim'
aaya jawab-e-KHat tumhein aur nama-bar gaya
Ghazal
Jab ho chuki sharab to main mast mar gaya
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi