اردو हिंदी
Jab ham-nashin hamara bhi ahd-e-shabab tha | Shaahi Shayari
jab ham-nashin hamara bhi ahd-e-shabab tha

Ghazal

Jab ham-nashin hamara bhi ahd-e-shabab tha

Nazeer Akbarabadi

;

jab ham-nashin hamara bhi ahd-e-shabab tha
kya kya nashat-o-aish se dil kaamyab tha

hairat hai us ki zud-rawi kya kahen hum aah
naqsh-e-tilism tha wo koi ya hubab tha

tha jab wo jalwa-gar to dil-o-jaan mein dam-ba-dam
ishrat ki had na aish-o-tarab ka hisab tha

the bagh-e-zindagi ke usi se hi aab-o-rang
diwan-e-umr ka bhi wahi intiKHab tha

apni to fahm mein wahi hangam ai 'nazir'
majmua-e-hayat ka lubb-e-lubab tha