jab ghar se wo baad-e-mah nikle
munh se mere kyun na aah nikle
dil wo hai ki jis se chah nikle
munh wo hai ki jis se aah nikle
zindan ki to apne sair tu kar
shayad koi be-gunah nikle
'mani' se khinchi na KHat ki taswir
lakhon waraq siyah nikle
KHajlat ye hui ki mahkme se
sharminda mere gawah nikle
raste masdud ho gae hain
ab dekhiye kyunke rah nikle
palken nahin chhoDtin ki ek dam
aankhon se teri nigah nikle
ai aah tu le to chal alam ko
ta aansuon ki sipah nikle
nikla main gali se us ki is tarah
jaise koi dad-KHwah nikle
wo soKHta main nahin ki jis ki
turbat se gil o gayah nikle
sher apne jo 'mushafi' paDhun main
munh se tere wah wah nikle
Ghazal
Jab ghar se wo baad-e-mah nikle
Mushafi Ghulam Hamdani

