jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain
takmil-e-junun bhi hoti hai aur chaak gareban hote hain
pur-kaif fazaen chalti hain maKHmur ghaTaen chhati hain
jab sehn-e-chaman mein jalwa-numa wo jaan-e-bahaaran hote hain
hota hai sukun-e-qalb-o-jigar har zaKHm mein lazzat aati hai
o nawak-afgan tir tere taskin-e-rag-e-jaan hote hain
kyun minnat-e-chaara-gar kije kyun fikr-e-dawa-e-dil kije
bimar-e-mohabbat ke nale KHud dard ka darman hote hain
ye ahd-e-jawani shoKHi-e-gul do din ki bahaaren hoti hain
dekhen to kabhi wo rang-e-KHizan jo husn pe nazan hote hain
jab baad-e-bahaari aati hai har gul pe jawani chhati hai
khil jate hain mere zaKHm-e-jigar aur dagh daraKHshan hote hain
girdab muhafiz hota hai ai bahr-e-hawadis bekas ka
khinch aata hai sahil maujon mein jab josh pe tufan hote hain
kya mujh ko zarurat ai 'anwar' kyun un ke sitam ka shaki hun
jab yaad jafaen aati hain wo KHud hi pasheman hote hain
Ghazal
Jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain
Anwar Saharanpuri