اردو हिंदी
Jab dil ki rahguzar pe tera naqsh-e-pa na tha | Shaahi Shayari
jab dil ki rahguzar pe tera naqsh-e-pa na tha

Ghazal

Jab dil ki rahguzar pe tera naqsh-e-pa na tha

Ada Jafri

;

jab dil ki rahguzar pe tera naqsh-e-pa na tha
jine ki aarzu thi magar hausla na tha

aage harim-e-gham se koi rasta na tha
achchha hua ki sath kisi ko liya na tha

daman-e-chaak chaak-gulun ko bahana tha
warna nigah-o-dil mein koi fasla na tha

kuchh log sharmsar KHuda jaane kyun hue
un se to ruh-e-asr hamein kuchh gila na tha

jalte rahe KHayal barasti rahi ghaTa
han naz-e-agahi tujhe kya kuchh rawa na tha

sunsan dopahar hai baDa ji udas hai
kahne ko sath sath hamare zamana tha

har aarzu ka nam nahin aabru-e-jaan
har tishna-lab jamal-e-ruKH-e-karbala na tha

aandhi mein barg-e-gul ki zaban se 'ada' hua
wo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha