jab dhyan mein wo chand sa paikar utar gaya
tarik shab ke sine mein KHanjar utar gaya
jab sab pe band the meri aankhon ke raste
phir kaise koi jism ke andar utar gaya
sahil pe Dar gaya tha main lahron ko dekh kar
jab ghota-zan hua to samundar utar gaya
ek bhi lakir hath pe baqi nahin rahi
dast-e-talab se naqsh-e-muqaddar utar gaya
wo aaine ke samne kya runuma hue
sada waraq ke rang ka manzar utar gaya
chehre ki tez dhaar bhi bekar ho gai
jab chashm-e-ab-dar se jauhar utar gaya
kis darja dil-fareb thi dane ki shakl bhi
panchhi hare shajar se zamin par utar gaya

Ghazal
Jab dhyan mein wo chand sa paikar utar gaya
Siddique Afghani