jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha
dariya se baDe ek shaKHs ka ek dariya ke kinare Dera tha
wo tha kuchh us ke bachche the kuchh sath the aur kuchh ghar wale
aaine se kore dil wale kohsar se unche sar wale
ye log wafa ke hami the na-mus-o-haya ke hami the
bas ek rasul ke qail bas ek KHuda ke hami the
is dai-e-amn-o-mohabbat ke raste mein dushman ki faujen
yun barson phail gain jaise chaDhte dariya ki maujen
baatil ke hath pe ye zulm haq walon se baiat lete the
mehman bana kar lae the pani bhi na pine dete the
insaf ki pyar ki aashti ki sab baaten jab be-kar gain
wo mard-e-mujahid haq ke liye kaT marne ko tayyar hua
afrad pe bhi aqwam pe bhi ye mushkil aati rahti hai
har daur mein haq-o-baatil ki quwwat Takraati rahti hai
phir jang hui wo jang jise ta-hashr na bhulega koi
wo zulm hue jin par ab tak har shahr mein matam hote hain
us zulm ka qissa lamba hai us jang ki pustak bhaari hai
wo jang jo kab ki KHatm hui wo jang abhi tak jari hai

Ghazal
Jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha
Saeed Ahmad Akhtar