jab bhi teri qurbat ke kuchh imkan nazar aae
hum KHush hue itne ki pareshan nazar aae
dekhun to har ek husn mein jhalken tere andaz
sochun to faqat gardish-e-dauran nazar aae
TuTa jo fusun-e-nigah-e-shauq to dekha
sahra the jo nashshe mein gulistan nazar aae
kanTon ke dilon mein bhi wahi zaKHm the lekin
phulon ne sajae to numayan nazar aae
ek ashk bhi nazr-e-gham-e-jaanan ko nahin pas
hum aaj bahut be-sar-o-saman nazar aae
jo rah-e-tamanna ke har ek moD pe chup the
jab dar pe pahunche to ghazal-KHwan nazar aae
kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-nazar ko
jis shahr ko dekhen wahi viran nazar aae
kya rup nigahon mein racha baiThe ki in ko
gulshan nazar aae na bayaban nazar aae
ek umr se is moD pe baiThe hain jahan par
ek pal ka guzarna bhi na aasan nazar aae
'sadiq' ki nigahon ko hi Thahraw na mujrim
aaine har ek daur mein hairan nazar aae

Ghazal
Jab bhi teri qurbat ke kuchh imkan nazar aae
Sadique Naseem