اردو हिंदी
Jab bhi mujhko apna bachpan yaad aata hai | Shaahi Shayari
jab bhi mujhko apna bachpan yaad aata hai

Ghazal

Jab bhi mujhko apna bachpan yaad aata hai

Qaisar Siddiqi

;

jab bhi mujh ko apna bachpan yaad aata hai
bachpan ke ek pyar ka bachpan yaad aata hai

dekh ke is munh-zor jawani ki munh-zori
mujh ko is ka totla bachpan yaad aata hai

aurat man thi bahan thi dadi thi nani thi
kore kaghaz jaisa bachpan yaad aata hai

tufani barish ghar mein sailab ka aalam
ThanDa chulha bhuka bachpan yaad aata hai

tanhai ka dukh to kam ho kisi bahane
dekhen kis ka kis ka bachpan yaad aata hai

shahd ke jaisi miThi boli yaad aati hai
dudh ke jaisa ujla bachpan yaad aata hai

bachpan ke yaron se milta rahta hun main
'qaisar' mujh ko sab ka bachpan yaad aata hai