jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai
zindagi roz nae rang badalti kyun hai
dhup ke qahr ka Dar hai to dayar-e-shab se
sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai
mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin
is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai
tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri
dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai
mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab
bu-e-awara se puchho ki bhaTakti kyun hai
Ghazal
Jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai
Shahryar