اردو हिंदी
Jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi | Shaahi Shayari
jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi

Ghazal

Jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi

Zafar Ansari Zafar

;

jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi
sham ashkon ke sitaron se sanwar jaegi

kya bataun ki kahan tak ye nazar jaegi
ek din hadd-e-tayyun se guzar jaegi

jab bhi us ke ruKH-e-raushan ka KHayal aaega
chandni dil ke shabistan mein utar jaegi

har sitam karne se pahle ye zara soch bhi le
main jo bikhra to teri zulf bikhar jaegi

main ye samjhunga mujhe mil gai meraj-e-wafa
zindagi gar teri yaadon mein guzar jaegi

us taraf apni mohabbat ki kahani hogi
ye hawa bu-e-wafa le ke jidhar jaegi

kya KHabar thi ki 'zafar' ruh meri duniya mein
aarzuon se kuchal kar kabhi mar jaegi