jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi
jagmagata sar-e-sahil nazar aata hai koi
be-ruKHi us ki dilati hai jahan ka ehsas
liye duniya ki KHabar be-KHabar aata hai koi
shiddat-e-yas mein chupke se ujalon ki tarah
mere tarik KHayalon mein dar aata hai koi
tan-e-tanha to safar dil pe giran guzrega
muntazir hun ki mere sath agar aata hai koi
Dub jata hai judai ki shafaq mein din ko
ufuq-e-KHwab se shab ko ubhar aata hai koi
ashk pita hun main tiryaq samajh kar jis waqt
zahr ban kar rag-e-jaan mein utar aata hai koi
hijr saman hai rawan su-e-shab-e-wasl 'shahab'
dhup oDhe hue zer-e-shajar aata hai koi

Ghazal
Jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi
Shahab Safdar