jab bhi dushman ban ke is ne war kiya
main ne apne lahje ko talwar kiya
main ne apne phul se bachchon ki KHatir
kaghaz ke phulon ka karobar kiya
meri mehnat ki qimat kya dega tu
main ne dasht-o-sahra ko gulzar kiya
main 'farhad' ya majnun kaise ban jata
main shair tha main ne sab se pyar kiya
us ki aankhen KHwab se banne lagti hain
jab bhi main ne chahat ka izhaar kiya
apne pichhe aane walon ki KHatir
main ne har ek raste ko hamwar kiya
us ke ghar ke sare log muKHalif the
phir bhi 'arif' us ne mujh se pyar kiya
Ghazal
Jab bhi dushman ban ke isne war kiya
Arif Shafiq