اردو हिंदी
Jab bhi aata hai wo mere dhyan mein | Shaahi Shayari
jab bhi aata hai wo mere dhyan mein

Ghazal

Jab bhi aata hai wo mere dhyan mein

Jazib Quraishi

;

jab bhi aata hai wo mere dhyan mein
phul rakh jata hai roshan-dan mein

ghar ke baam-o-dar nae lagne lage
husn aisa tha mere mehman mein

tera chehra aaine ke samne
aur aaina nae imkan mein

aks tere teri KHushbu tere rang
bas yahi kuchh hai mere saman mein

jism-o-jaan ko taza mausam mil gae
jal gaya main tere aatish-dan mein

jo sitara parwarish pata raha
wo mila hai pyar ke rujhan mein

titliyan kamre ke andar aa gain
ek phul aisa bhi tha gul-dan mein

aandhiyon mein bhi uData hai mujhe
kaun hai ye mere jism-o-jaan mein

dhaDkanen teri hain be-awaz kyun
kya nahin hun main tere imkan mein

jab daraKHt angnaiyon ke kaT gae
dhup utar aai hai har dalan mein

ajnabi KHwabon ka surat-gar hun main
aur main gum hun teri pahchan mein