jab apne wadon se un ko makr hi jaana tha
hamein bhi sari hadon se guzar hi jaana tha
lahu ki tab se raushan tha karwan-e-hayat
fareb dene se behtar to mar hi jaana tha
na rakh sake sar-e-sauda-e-ishq ki tauqir
buland rakhte KHushi se jo sar hi jaana tha
lahu ki aag asiri mein sard ho ke rahi
isi liye hamein zindan se ghar hi jaana tha
jo intishaar-e-wajud-e-ziyan hi tha maqsum
charagh-e-nur ki surat bikhar hi jaana tha
na mil saki kahin ghar se siwa hamein wahshat
palaT ke is liye qadmon ko ghar hi jaana tha
hui jo zer-o-zabar zist yun masail se
ghurur-e-ishq ka dariya utar hi jaana tha
agarche milta bhi un ko unhi sa saudai
fareb-e-dosti 'KHalid' ke sar hi jaana tha
Ghazal
Jab apne wadon se un ko makr hi jaana tha
Quaiser Khalid

