jab apne pairahan se KHushbu tumhaari aai
ghabra ke bhul baiThe hum shikwa-e-judai
fitrat ko zid hai shayad duniya-e-rang-o-bu se
kanTon ki umr aaKHir kaliyon ne kyun na pai
allah kya hua hai zom-e-KHud-etamadi
kuchh log de rahe hain haalat ki duhai
ghunchon ke dil bajae khilne ke shaq hue hain
ab ke baras na jaane kaisi bahaar aai
is zindagi ka ab tum jo chaho nam rakh do
jo zindagi tumhaare jaane ke baad aai
Ghazal
Jab apne pairahan se KHushbu tumhaari aai
Asad Bhopali