اردو हिंदी
Jab apne etiqad ke mehwar se haT gaya | Shaahi Shayari
jab apne etiqad ke mehwar se haT gaya

Ghazal

Jab apne etiqad ke mehwar se haT gaya

Qateel Shifai

;

jab apne e'tiqad ke mehwar se haT gaya
main reza reza ho ke harifon mein baT gaya

dushman ke tan pe gaD diya main ne apna sar
maidan-e-kar-zar ka pansa palaT gaya

thoDi si aur zaKHm ko gahrai mil gai
thoDa sa aur dard ka ehsas ghaT gaya

darpesh ab nahin tera gham kaise man lun
kaisa tha wo pahaD jo raste se haT gaya

apne qarib pa ke moattar si aahaTen
main bar-ha sanakti hawa se lipaT gaya

jo bhi mila safar mein kisi peD ke tale
aaseb ban ke mujh se wo saya chimaT gaya

luTte hue awam ke ghar-bar dekh kar
ai shahryar tera kaleja na phaT gaya

rakkhega KHak rabt wo is kaenat se
jo zarra apni zat ke andar simaT gaya

choron ka ehtisab na ab tak hua 'qatil'
jo hath be-qusur tha wo hath kaT gaya