jab aap se hi guzar gae hum
phir kis se kahen kidhar gae hum
kya kaba o dair o kya KHarabaat
tu hi tha gharaz jidhar gae hum
aae the misal-e-shoala sargarm
jate hue jun sharar gae hum
shabnam ki tarah se us chaman se
hote hi dam-e-sahar gae hum
kuchh apne tain kiya na malum
kya aap se be-KHabar gae hum
juz hasrat-e-umr-e-rafta afsos
kuchh aa ke yahan na kar gae hum
shaiKHi se guzar hue qalandar
bigDe the par ab sanwar gae hum
is darja hue KHarab-e-ulfat
ji se apne utar gae hum
faiz us lab-e-iswi ka 'hatim'
bil-aks hua ki mar gae hum
Ghazal
Jab aap se hi guzar gae hum
Shaikh Zahuruddin Hatim