jati rahin kidhar wo mohabbat ki baniyan
ek aashna rahin teri baaten baganiyan
sun kar jala hun tur sa musa kamar miyan
firauni-e-raqib o teri lan-taraniyan
kahta hun jab main sote nasibon ki sarguzisht
hoti hain KHwab-e-naz ki tum ko kahaniyan
jam-e-hubab par dam-e-isa bhi sang hai
nazuk dilon pe halke suKHan hain giraniyan
ai jag ke Thag ye nam nikale se nang nahin
'uzlat' se dil liye pe bhi aankhen choraniyan
Ghazal
Jati rahin kidhar wo mohabbat ki baniyan
Wali Uzlat