jati hai dhup ujle paron ko sameT ke
zaKHmon ko ab ginunga main bistar pe leT ke
main hath ki lakiren miTane pe hun ba-zid
go jaanta hun naqsh nahin ye saleT ke
duniya ko kuchh KHabar nahin kya hadisa hua
phenka tha us ne sang gulon mein lapeT ke
fawware ki tarah na ugal de har ek baat
kam kam wo bolte hain jo gahre hain peT ke
ek nuqrai khanak ke siwa kya mila 'shakeb'
TukDe ye mujh se kahte hain TuTi plate ke

Ghazal
Jati hai dhup ujle paron ko sameT ke
Shakeb Jalali