اردو हिंदी
Jate hain wahan se gar kahin hum | Shaahi Shayari
jate hain wahan se gar kahin hum

Ghazal

Jate hain wahan se gar kahin hum

Ghazanfar Ali Ghazanfar

;

jate hain wahan se gar kahin hum
hir-phir ke phir aate hain wahin hum

sad-haif ki kunj-e-be-kasi mein
koi nahin aur hain hamin hum

KHamoshi ki mohr hai dahan par
hain halqa-e-gham mein jun nagin hum

aaya na wo shoKH aur gae aah
hasrat hi bhare tah-e-zamin hum

takte rahe jaanib-e-dar ai wae
mar mar ke ba-waqt-e-wapsin hum

kya kya khinche hain aap ko dur
Tuk baiThe jo yar ke qarin hum

dekh aaina hum se puchhe the yun
sach kahiyo ki kaise hain hasin hum

qismat mein to hijr hai 'ghazanfar'
ab wo hai to aap mein nahin hum