jaanta hun ki kai log hain behtar mujh se
phir bhi KHwahish hai ki dekho kabhi mil kar mujh se
sochta kya hun tere bare mein chalte chalte
tu zara puchhna ye baat Thahar kar mujh se
main yahi soch ke har haal mein KHush rahta hun
ruTh jae na kahin mera muqaddar mujh se
mujh pe mat chhoD ki phir baad mein pachhtaega
faisle Thik hi ho jate hain akasr mujh se
raat wo KHun rulati hai udasi dil ki
rone lagta hai lipaT kar mera bistar mujh se
ahd-e-aghaz-e-mohabbat tere anjam ki KHair
ab uThae nahin uThta hai ye patthar mujh se
Ghazal
Jaanta hun ki kai log hain behtar mujhse
Faizi