اردو हिंदी
Jaane ye kaisa zahr dilon mein utar gaya | Shaahi Shayari
jaane ye kaisa zahr dilon mein utar gaya

Ghazal

Jaane ye kaisa zahr dilon mein utar gaya

Ummeed Fazli

;

jaane ye kaisa zahr dilon mein utar gaya
parchhain zinda rah gai insan mar gaya

barbaadiyan to mera muqaddar hi thin magar
chehron se doston ke mulamma utar gaya

ai dopahar ki dhup bata kya jawab dun
diwar puchhti hai ki saya kidhar gaya

is shahr mein farash-talab hai har ek rah
wo KHush-nasib tha jo saliqe se mar gaya

kya kya na us ko zom-e-masihai tha 'umid'
hum ne dikhae zaKHm to chehra utar gaya