اردو हिंदी
Jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha | Shaahi Shayari
jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha

Ghazal

Jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha

Abdul Ahad Saaz

;

jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha
kal raat mere git ke mukhDe pe nur tha

naghma sa chheDti thin tajalli ki ungliyan
tauret ka nuzul ba-lahn-e-zabur tha

wo sath sath aur pahunchna tha us talak
har aan ek marhala nazdik o dur tha

haibat ke baam par thi bulawe ki raushni
thi waswason ki sham pa jaana zarur tha

har pech koi waqia har moD koi yaad
us ke badan ke sath mera la-shuur tha

ek bhiD mujh se muntazir-e-inkishaf thi
main tha muraqabe mein magar be-huzur tha