jaane kyun pyas ki chaukhaT pe wo aa baiTha hai
main ne har gam naya abr jise baKHsha hai
ek lamhe ko bhi muD ke nahin dekha us ne
jaane wale ko bahut dur talak dekha hai
KHak se pak libaadon ki mahak aati hai
qafila dasht ke aangan mein khila kis ka hai
moajiza us ko hi kahti hai ye duniya shayad
mujh ko ummid na thi par wo palaT aaya hai
ek nazar main ne jise pyar se dekha 'noman'
wo parinda meri dahliz pe aa baiTha hai

Ghazal
Jaane kyun pyas ki chaukhaT pe wo aa baiTha hai
Noman Farooq