jaane kya wajh-e-beganagi hai
shahr mein jo bhi hai ajnabi hai
aag si mere dil mein lagi hai
phir bhi kitni KHunuk chandni hai
raat-bhar shama tanha jali hai
tab kahin raat ja kar kaTi hai
un ko kho kar bhi main ji raha hun
ye kisi aur ki zindagi hai
zahr-e-gham kaam kar bhi chuka hai
muskurahaT labon par wahi hai
tab ke jam raushan rakhoge
raat bhi ab to Dhalne lagi hai
aaj to tum bhi so jao 'ishqi'
aaj to dard mein bhi kami hai

Ghazal
Jaane kya wajh-e-beganagi hai
Shahid Ishqi