jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras
hum gham-zadon ke waste jaise chaman waise qafas
ruKHsat hua bimar-e-gham baalin se uTThe ham-nafas
tadbir to karte hain sab taqdir par kis ka hai bas
mahshar mein us bedard se gar puchh-gachh ne dad ki
aaya hun main fariyaad ko fariyaad sun fariyaad-ras
mumkin nahin main chhuT sakun dam-e-wafa-o-ishq se
bandhe gae sab dast-o-pa jakDi gai ek ek nas
qata-e-manazil main karun to kis sahaare par karun
mafqud ahl-e-karwan masdud aawaz-e-jaras
tu aur dawa ishq ka ye bhi KHuda ki shan hai
mansur banne ke liye dil chahiye ai bul-hawas
kahne ko hai sara jahan sachche fidai hain kahan
das mein na niklega koi das lakh mein niklenge das
jae bahaar aae KHizan is ka taraddud kuchh nahin
hain lala-o-gul se siwa mujh ko chaman ke KHar-o-KHas
tul-e-gham-o-azar ne nashad mujh ko kar diya
hai ek ghanTa ek din hai ek mahina ek baras
kam-baKHt marne ke liye sayyaad ke ghar aae hain
dekhenge ab kya sair-e-gul chhuT kar asiran-e-qafas
pahunche sar-e-arsh-e-barin ummid to aisi nahin
hathon hi tak mahdud hai meri dua ki dastaras
qabu mein jab dil hi nahin to kya kahun main dard-e-dil
baDh kar hai tegh-o-tir se mere liye mera nafas
sau bar de kar jam-o-KHum mamnun saqi ne kiya
is ka taqaza tha ki pi meri guzarish thi ki bas
ai KHizr aae lutf kya mashrab alag maslak juda
marne ki hasrat mujh ko hai tum ko hai jine ki hawas
un ke alawa kaun hai mere qarin koi nahin
ya dahne baen aafaten ya aarzuen pesh-o-pas
jam-o-subu ka zikr kya bahta phire KHud mai-kada
ai abr-e-rahmat TuT kar aisa baras itna baras
kya ibtida kya intiha jo aaega wo jaega
duniya-e-fani kuchh nahin allah bas baqi hawas
lutf-o-karam se kya gharaz qahr-o-sitam se kaam le
barbaadi-e-ushshaq par apni kamar mazbut kas
kab tak ye sail-e-ashk-e-gham kab tak ye tufan-KHeziyan
duniya fana ho jaegi ai 'nuh' bas ai 'nuh' bas
Ghazal
Jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras
Nooh Narvi