jaane kis ki thi KHata yaad nahin
hum hue kaise juda yaad nahin
ek shoala sa uTha tha dil mein
jaane kis ki thi sada yaad nahin
ek naghma sa suna tha main ne
kaun tha shoala-nawa yaad nahin
roz dohraate the afsana-e-dil
kis tarah bhul gaya yaad nahin
ek faqat yaad hai jaana un ka
aur kuchh is ke siwa yaad nahin
tu meri jaan-e-tamanna thi kabhi
ai meri jaan-e-wafa yaad nahin
hum bhi the teri tarah aawara
kya tujhe baad-e-saba yaad nahin
hum bhi the teri nawaon mein sharik
tair-e-naghma-sara yaad nahin
haal-e-dil kaise 'tabassum' ho bayan
jaane kya yaad hai kya yaad nahin
Ghazal
Jaane kis ki thi KHata yaad nahin
Sufi Tabassum