jaane kahan gaya hai wo wo jo abhi yahan tha
wo jo abhi yahan tha wo kaun tha kahan tha
ta-lamha-e-guzishta ye jism aur sae
zinda the raegan mein jo kuchh tha raegan tha
ab jis ki did ka hai sauda hamare sar mein
wo apni hi nazar mein apna hi ek saman tha
kya kya na KHun thuka main us gali mein yaro
sach jaanna wahan to jo fan tha raegan tha
ye war kar gaya hai pahlu se kaun mujh par
tha main hi daen baen aur main hi darmiyan tha
us shahr ki hifazat karni thi hum ko jis mein
aandhi ki thin fasilen aur gard ka makan tha
thi ek ajab faza si imkan-e-KHal-o-KHad ki
tha ek ajab musawwir aur wo mera guman tha
umren guzar gai thin hum ko yaqin se bichhDe
aur lamha ek guman ka sadiyon mein be-aman tha
jab Dubta chala main tarikiyon ki tah mein
tah mein tha ek daricha aur us mein aasman tha
Ghazal
Jaane kahan gaya hai wo wo jo abhi yahan tha
Jaun Eliya