jaane ab kho gaya kidhar pani
tha kabhi aankh ka guhar pani
maro patthar bhi to nahin hilta
jam chuka hai ab is qadar pani
aane wale hain kuchh hasin manzar
tu abhi aankh mein na bhar pani
tab ghazal ki gali pahunchta hai
aankh se bah ke raat bhar pani
na sameTa gaya na kaam aaya
main bhi hun jaise ret par pani
meri hasti 'sahar' hai bas itni
jaise sahra mein bund bhar pani
Ghazal
Jaane ab kho gaya kidhar pani
Neena Sahar