اردو हिंदी
Jaana hai usi samt ki chaara nahin koi | Shaahi Shayari
jaana hai usi samt ki chaara nahin koi

Ghazal

Jaana hai usi samt ki chaara nahin koi

Mohsin Zaidi

;

jaana hai usi samt ki chaara nahin koi
jis samt ko rasta bhi nikalta nahin koi

bas dil ka hai sauda koi bazi nahin sar ki
thoDa sa hai nuqsan ziyaada nahin koi

manjdhaar mein kashti ka badalna nahin manzur
aisi mujhe sahil ki tamanna nahin koi

har shaKHs yahan gumbad-e-be-dar ki tarah hai
aawaz pe aawaz do sunta nahin koi

hum sina-sipar aa gae maidan-e-wigha mein
ab kyun saf-e-ada se nikalta nahin koi

mana ki bura hai jo kam-amez hun itna
ye tera taghaful bhi to achchha nahin koi

wo shobada-gar hi na raha khel hua KHatm
hone ko bas ab aur tamasha nahin koi

ek naqd-e-hunar hai ki nahin jis ki koi qadr
pas is ke siwa aur asasa nahin koi

pamali-e-gulshan ki ye taswir hai 'mohsin'
shadabi-e-gulshan ka ye naqsha nahin koi