اردو हिंदी
Jaan se kaise jaya jata hai | Shaahi Shayari
jaan se kaise jaya jata hai

Ghazal

Jaan se kaise jaya jata hai

Anjum Khayali

;

jaan se kaise jaya jata hai
ye hunar kya sikhaya jata hai

bol kar boliyan parindon ki
in ko ghere mein laya jata hai

baz wade kiye nahin jate
phir bhi un ko nibhaya jata hai

main na jaun kahin to phir dekhun
kis tarah mera saya jata hai

subh ke baad bhi jo raushan hon
in diyon ko bujhaya jata hai