jaan se guzre bhi to dariya se guzarenge tumhein
sath mat chhoDna hum par utarenge tumhein
tum suno ya na suno hath baDhao na baDhao
Dubte Dubte ek bar pukarenge tumhein
dil pe aata hi nahin fasl-e-tarab mein koi phul
jaan, is shaKH-e-shajar par to na warenge tumhein
khel ye hai ki kise kaun siwa chahta hai
jit jaoge to jaan nazr guzarenge tumhein
kaisi zebai hai jab se tumhein chaha hum ne
aur chahenge tumhein aur sanwarenge tumhein
ishq mein hum koi dawa nahin karte lekin
kam se kam marka-e-jaan mein na haarenge tumhein
Ghazal
Jaan se guzre bhi to dariya se guzarenge tumhein
Irfan Siddiqi