jaan kar min-jumla-e-KHasan-e-mai-KHana mujhe 
muddaton roya karenge jam o paimana mujhe 
nang-e-mai-KHana tha main saqi ne ye kya kar diya 
pine wale kah uThe ya pir-e-mai-KHana mujhe 
sabza o gul mauj o dariya anjum o KHurshid o mah 
ek talluq sab se hai lekin raqibana mujhe 
zindagi mein aa gaya jab koi waqt-e-imtihan 
us ne dekha hai 'jigar' be-iKHtiyarana mujhe
 
        Ghazal
Jaan kar min-jumla-e-KHasan-e-mai-KHana mujhe
Jigar Moradabadi

