jaan-e-bahaar-e-zindagi aankhen zara milae ja
gulshan-e-qalb par mere barq-e-nazar girae ja
apna mujhe banae ja dil mein mere samae ja
band-e-hijab toD de naqsh-e-dui miTae ja
mutrib-e-KHush-nawa na ja zaKHm-e-jigar kured kar
chheDa hai jis pe saz-e-dil naghma wahi sunae ja
mausam-e-gul ka wasta abr-e-bahaar ki qasam
jab tak girun na jhum kar saqi mujhe pilae ja
mana ki thak gae hain panw hausla-e-shabab ke
phir bhi Thahar ke dam na le aage qadam baDhae ja
Thes lage laga kare dard uThe uTha kare
aankhon se KHun baha kare phir bhi tu muskurae ja
naz-o-niyaz-e-ishq ka KHatm na ho ye silsila
'nazish'-e-KHasta-haal ko hans hans ke tu rulae ja
Ghazal
Jaan-e-bahaar-e-zindagi aankhen zara milae ja
Nazish Sikandarpuri