jaan-e-afsana yahi kuchh bhi ho afsane ka nam
zindagi hai dil ki dhaDkan tez ho jaane ka nam
qatra qatra zindagi ke zahr ka pina hai gham
aur KHushi hai do ghaDi pi kar bahak jaane ka nam
aaj tu kal koi aur hoga sadr-e-bazm-e-mai
saqiya tujh se nahin hum se hai mai-KHane ka nam
intizar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nur
aur bahaar-e-bagh leti hi nahin aane ka nam
tab-e-nakaami nahin to aarzu karta hai kya
saqiya tujh se nahin hum se hai mai-KHane ka nam
waqif-e-'mulla' na thi bazm-e-KHirad ye tai hua
ho na ho ye hai kisi mashhur diwane ka nam
Ghazal
Jaan-e-afsana yahi kuchh bhi ho afsane ka nam
Anand Narayan Mulla