jaan de di rahraw-e-manzil ne manzil ke qarib
hausle tufan ke nikle bhi to sahil ke qarib
wo nazar bahki hui phirti hai kyun dil ke qarib
us ki manzil bhi hai shayad meri manzil ke qarib
azm-e-gharqabi hai to minnat-kash-e-tufan na ban
kashtiyan lakhon hui hain gharq sahil ke qarib
rahraw-e-manzil ne ban kar markaz-e-yas-o-umid
manzilen lakhon bana lin apni manzil ke qarib
Dubne wale ko tinke ka sahaara chahiye
mauj bhi sahil nazar aati hai sahil ke qarib
jaan de kar mutmain hai rahraw-e-himmat-shikan
duri-e-manzil ne pahunchaya hai manzil ke qarib
didani hai us ki hasrat us ka arman us ka shauq
jis ki kashti Dub jae aa ke sahil ke qarib
Dagmaga jate hain pa-e-shauq akasr ai 'rais'
manzilen aisi bhi aa jati hain manzil ke qarib

Ghazal
Jaan de di rahraw-e-manzil ne manzil ke qarib
Raees Niyazi