jal ragon ka gunj lahu ki sans ke tewar bhul gae
kitni fanaen kitni baqaen apne andar bhul gae
janam janam tak qaid raha ek be-mani angDai mein
main hun wo mehrab jise mere hi patthar bhul gae
jaane kya kya git sunae gardish ki sargoshi ne
be-chehra sayyare mujh mein apna mehwar bhul gae
biti hui sadiyon ka tamasha aane wale kal ka bhanwar
aate jate lamhe mujh mein apna paikar bhul gae
ab bhi chaaron samt hamare duniyaen harakat mein hain
hum bhi be-dhyani mein kya kya jism ke bahar bhul gae
dur kinaron ki reton par khoj rahe hain aaj 'riyaz'
kis ki suni aankhon mein hum apne samundar bhul gae
Ghazal
Jal ragon ka gunj lahu ki sans ke tewar bhul gae
Riyaz Latif