jal mein zar ke agar moti ka dana hoga
wo na is dam mein aawega jo dana hoga
dam-e-zulf aur jahan KHal ka dana hoga
phans hi jawega gharaz kaisa hi dana hoga
dil ko hum lae the mizhgan ki safen dikhlane
ye na samjhe the ki tiron ka nishana hoga
aaj dekh is ne meri chah ki chitwan yaro
munh se go kuchh na kaha dil mein to jaana hoga
bhar nazar dekhenge us ahd-shikan ki surat
dekhiye kaun sa ya-rab wo zamana hoga
KHun bahane ka mere hashr mein jab hoga baha
dekhen kya us ghaDi qatil ko bahana hoga
wo bhi kuchh aisi hi kah dega ki jis se us ko
baat ki baat bahane ka bahana hoga
talKHi-e-marg jise kahte hain afsos afsos
ek din sab ke tain zahr ye khana hoga
dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazir'
phir tera kahe ko is bagh mein aana hoga
Ghazal
Jal mein zar ke agar moti ka dana hoga
Nazeer Akbarabadi