jagti aankhon mein kaise KHwab dar aane lage
raste meri taraf le kar safar aane lage
dur tak uDti ababilon ki Daren dekh kar
unghte panchhi ke bhi jumbish mein par aane lage
kaenat-e-shab mein chashm-e-justuju bhaTki phiri
raushni ke mantaqe aaKHir nazar aane lage
kitni dard-angez thi suni manDiyon ki pukar
uD gae the jo parinde lauT kar aane lage
ghar to ek din hum ne bhi chhoDa siddhaarth ki tarah
phul aangan ke magar har su nazar aane lage
dhajjiyan daman ki pahle hi numayan thin bahut
kuchh nae ilzam bhi ab mere sar aane lage

Ghazal
Jagti aankhon mein kaise KHwab dar aane lage
Parvez Bazmi