اردو हिंदी
Jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin | Shaahi Shayari
jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin

Ghazal

Jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin

Khurshid Ahmad Jami

;

jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin
sath apne bhi nahin aur parae bhi nahin

sina-e-saz mein wo git sulag uTThe hain
pyar ban kar jo lab-e-saz pe aae bhi nahin

zindagani to KHaridar-e-sitam hai lekin
tum ne bazar salibon ke sajae bhi nahin

kuchh irade mere giton ki thakan hain ab bhi
kuchh fasane teri aaankhon ne sunae bhi nahin

dhup sochon ke dar-o-baam tak aa pahunchi hai
aur aaise mein teri yaad ke sae bhi nahin

aarzuon ke umangon ke mazaron pe kahin
gham-e-ayyam ne do phul chaDhae bhi nahin

waqt ki rah mein anjaan nazar aate hain
warna ye log kuchh itne to parae bhi nahin

dur ke des ki pariyon ka bharosa kya tha
hum ne KHwabon ke nae dip jalae bhi nahin

zindagani ke hasin shahr mein aa kar 'jami'
zindagani se kahin hath milae bhi nahin