jag jaane par na jaane kyun dobara so gaya
baadalon ke darmiyan raushan sawera ho gaya
beach dariya mein ghiri kashti par nishan sab ke sab
dhund ki chadar koi oDhe kinara kho gaya
thak thaka kar ruk gaya pur-josh rahi ka safar
dhup ke sae mein jis dam garm sahra ho gaya
KHush-gawari baadbanon se ayan hone lagi
sahilon par ja ke jab dariya ka dariya so gaya
qahqahon ko rok kar dekhe 'shabina' lamha-bhar
gham ki chaukhaT par koi aadha-adhura ho gaya

Ghazal
Jag jaane par na jaane kyun dobara so gaya
Shabana zaidi shabeen