اردو हिंदी
Jaez hai us ka qatl hamare hisab se | Shaahi Shayari
jaez hai us ka qatl hamare hisab se

Ghazal

Jaez hai us ka qatl hamare hisab se

muneer saifi

;

jaez hai us ka qatl hamare hisab se
jis ne mohabbaton ko nikala nisab se

tanqid kar rahe hain kitab-e-hayat par
aage na baDh sake jo kabhi intisab se

main sahab-e-KHabar bhi nazar bhi junun bhi tha
jab tak raha tha mera talluq kitab se

us waqt ek sajda baDe kaam aa gaya
main jab guzar raha tha ana ke azab se

ek lamhe ka firaq hawaen na sah sakin
dariya ki sharmsar rahega habab se

mujh se baDe baDe the gunahgar us jagah
be-kar Dar raha tha main yaum-e-hisab se

kanTon ke KHauf se bhi larazte ho tum 'munir'
aur ghar bhi chahte ho sajaana gulab se