jada-e-zist pe barpa hai tamasha kaisa
dost bichhDa hai har ek gam pe kaisa kaisa
dil ka aatish-kada viran paDa tha kab se
aankh se bahne laga aag ka dariya kaisa
us pe to fasl-e-KHizan mar chuki hai shab-KHun
mausam-e-gul ke guzar jaane ka khaTka kaisa
chand se chehre nazar aane lage hain kitne
khul gaya meri nigahon pe daricha kaisa
jis mein ek ashk na ho aankh kahan hai wo aankh
bund pani ki na ho jis mein wo dariya kaisa
be-tahasha jo baDhi jati hai su-e-girdab
naw ne dekh liya us mein kinara kaisa
dekh mahfil mein har ek aankh hai nam 'yazdani'
tu ne ye chheD diya aaj fasana kaisa

Ghazal
Jada-e-zist pe barpa hai tamasha kaisa
Yazdani Jalandhari