itni tazim hui shahr mein uryani ki
raat aankhon ne bhi ji bhar ke badan-KHwani ki
nap sakta hai koi sard hawa tere siwa
ye jo KHandaq hai mere chaar-su virani ki
dil ko mazul kiya ishq se tu ne lekin
KHak pe rah ke bhi sultan ne sultani ki
sab uDate hain meri sard-dimaghi ka mazaq
yani duniya ko zarurat hai nigahbani ki
phul kaun aise khilata hai mere chaaron taraf
dhup ki jin ko zarurat na talab pani ki
dabdaba baDhta gaya shahr mein KHush-haali ka
mil gai dad mere dasht ko virani ki
Ghazal
Itni tazim hui shahr mein uryani ki
Nomaan Shauque